Mudaaton se ek aas thi man mein,
aashaon aur abhilashaon ke mukt gagan mein,
dur kahin ud jaun, sagar ke us paar,
mugdh ho vatavaran , pushpit jaise kisi van mein.
Man hai vichlit,kisi anboojh paheli se,
darta hai kisi anjaan dagar par,
pag mere vyarth yon hi naa badhte jayein,
vaibhav paripurn is duniya ke,
badhan aur na kaste jayein.
vyatha se shaapit hai jeevan kisi ka,
koi mithya hi clesh apnata hai,
is lakshyarahit jeevan ki pagdandi par,
man utsahrahit badh jata hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment