Monday, December 25, 2006

Sarfaroshi ki tamanna !!

This song by Ramprasad Bismil is my favourite - something that kindles patriotism and respect for my motherland - I am proud of INDIA !!!

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai
Karta nahin kyun doosra kuch baat cheet,
Dekhta hun main jise voh chup teri mehfil mein hai
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar,
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Waqt aanay pey bata denge tujhe aye aasman,
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed,
Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar,
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar.
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se,
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se.
Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se,
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se.
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan,
Chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam.
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab,
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj.
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.

No comments: